Friday 30 December 2016

Kotahi ki saltanat

Kotahi ki saltanat Kafi wasee hai, jiska qila mazboot aur badshah zalim hai. ghulami aasaan hai, dilo-jism ko mahboob, qaumoon ke zawal ke asal, nakami ko bahana hai, jiski saltanat par jhooti umeed ki kheti hoti hai, aur mayoosi phal ki shakal main ugti hai, aur is saltanat main rahne wala maot se pehle marjata hai.
Betabi, bebaki, chalaki, hoshiyari, is saltanat ke gulaam hai, ye jawani ki dushman hai jabke jawani ki ye dost hai. Ise hamesha fikar khayi rahti hai kahin Jawani ka mazboot irada saltanat se nikal kar fard ko ghulami se azaad na karde. Tab Kotahi ko aik baat achi samajh aayie "Irade ko qatal karneki". Bahut safayi se isne "KAL" ko janam diya, Jo sirf Irade ko kal pr taal deta hai. Ise to kehte hain na-badnami na-nakami.

Mujhe HAAL (present) ne poocha kya tum yahin rehte ho???

Mohd Tausif Amin